Muzaffar Ali

Muzaffar Ali is an Indian filmmaker, fashion designer, poet, artist, cultural revivalist, and social worker. He worked in advertising before turning to film. His first film was Gaman in 1978) and after that Umrao Jaan in 1981.


Muzaffar Ali also made and starred in the TV series Jaan-e-Alam.  He has been honored with numerous awards and accolades recognizing. He  received the Padam Shri award in 2005.

 

About Rekha:- Agar baat Rekha ko Umrao Jaan ke bemisaal kirdaar ke liye chune jane ki hai toh Dekhiye Jab bhi aap kisi ko chunte hai toh uss chunav ke peeche koi na koi khaas wajah toh hoti hi hai , Mujhe apni iss particular film Umrao Jaan ke liye ek aise kirdaar ki zarurat thi jisme ek Nayapan ho, Mujhe ek Gehrayi chaiye thi.
Ek baar maine Rekha ki ek photo kisi paper mein dekhi, unki Aankhon mein jo ek feeling thi , ek shakti thi wo dekhkar mujhe aisa laga haan ye ladki gir ke uth sakti hai.


Yun toh bahut se Artist itne commercial hote hain ki unke saath bahut kuch prayog  nahi kar sakte magar Rekha ke saath mujhe ye laga ki aap  inko ek Naye tarike se dhaal sakte hain. Ek nayi feeling mein, ek naye emotion mein , ek naye culture mein, aur ye sab mujhe Rekha mein nazar aaya aur isi wajah se maine unhe Umrao jaan ke kirdaar ke liye chuna.

Agar aap dekhe toh wo ek alag hi Daur tha, Wo ek alag hi culture tha aur Rekha usi culture ki lagi, Iss tarah ke culture mein koi bhi itni aasani se fit nahi hota hai , film ko dekhte hue ek baar bhi yeh nahi lagta ki Rekha uss daur ki nahi hain  aur yeh bhi zaruri nahi ki aap wahi ke paida ho, uss community se belong karte ho ,har Aadmi ke andar ek Artistic quality hoti hai jo mujhe Rekha mein Nazar aayi.

Rekha ke saath kaam karne ka anubhav ek khawab ki tarah tha, Ek aisa khwab jo dubara nahi dekha ja sakta,  Agar aap kahe ek khawab ko dohraya jaye toh ye mumkin nahi, mera unke saath kaam karne ka anubhav bahut hi accha aur yaadgaar raha.
Jab bhi koi kirdaar cinema ke parde par dohraya jata hai toh darshak khud hi faisla kar dete hain. Umrao jaan ke kirdaar Amiran ne Rekha ki shakal mein logo ke dilo mein ghar kar liya aur iske baad logo ko yeh manjoor nahi tha koi bhi is kirdaar ko dubaara nibhakar us ghar ko tahas nahas kare

Film se jude aise bahut se kisse hai jinhe bahut hi kam log jaante hain, Rekha ne iss film mein bilkul hatkar, alag se, bahut hi feelings ke saath abhinay kiya, Rekha film ke schedule ko bilkul strict hokar follow karti thi, ek bhi din aisa nahi hua jab wo shooting par naa aayi ho.


Ek baar unhe shooting ki dates ke hisaab se Lucknow ki flight nahi mili , aisi halat mein wo Train se lucknow aayi , itni badi star ka train se aana koi aasan baat nahi thi . Aap aaj ke kisi bhi star ko bolo ki aap train se aa jaiye toh wo nahi aa sakta , Khair maine Rekha ko station se pick kiya,  Itni badi star  ko station par dekhkar logo ki bheed jama na ho, koi hungama naa ho toh aise mein Logo ki bheed se bachne ke liye maine unhe apne peeche chupa liya aur chalne ko kaha, Iss tarah unko station se bahar laaya gaya joki ek lamba Raasta tha.  Unke lucknow aane par ye koshish ki gayi ki unhe koi takleef na ho, Unit ke har aadmi ne unhe ijjzat di, har aadmi ko yeh ehsaas tha ki wo hamare liye kaam kar rahi hain.

Aamtaur jab films banti hai toh lagta hai ki poore sahar ka mahaul disturb ho gaya hai, magar isme logo ko  aisa laga ki koi jalsa ho raha hai lucknow mein , Yun toh lucknow apne aap mein kaafi famous hai magar iss film ke baad logo ki nazar mein lucknow cha gaya. Rekha ko bhi lucknow mein mazaa aane laga tha wo bhi chahti thi lucknow ko dekhe, Baazaro mein jaye , waha ki sabhayta ko dekhe aur samjhe. Jis tarah se Rekha ne Umrao Jaan ke kirdaar ko nibhaya wo apne aap mein kabil-ae-taarif tha.


Rekha ka apni filmon se jude har vishay par dhayan hota hai chahe baat dress ki ho ya unke dialogues ki, ya phir baat Unpar filmaye gaye geeto ki wo har baat ko importance deti hain tabhi toh film ke geeton ki baarikiyon ko samajhne ke liye Rekha recording studio par bhi aati thi jo aamtaur par baaki log nahi karte.


Main un sabhi logo ko shukriya ada karta hun jinhone iss film ko saraha apna pyar diya aur ek yaadgaar film banaya.


About Our Organisation:- Main aapki sanstha ko yahi kehna chahunga ki  Aap jo ye kaam kar rahe hain, aapke jo mool hain wo bahut buland hain aur jab tak hum acchi cheezon ki,  Virasat se judi cheezon ki kadr nahi karenge toh log use nahi samjhenge aur aaj har aadmi  jaldi mein hai .

Wo gehrayi mein nahi utar paata aur uss gehrayi mein utarne ka kaam aapki Sanstha kar rahi hai aur karti rahe yahi meri shubhkaamna hai.