Khayyam Sahab

Mohammed Zahur Khayyam Hashmi was an Indian music director and background score composer whose career spanned four decades. He won three Filmfare Awards: for Best Music in 1977 for Kabhi Kabhi and 1982 for Umrao Jaan, and a lifetime achievement award in 2010. He was awarded the 2007 Sangeet Natak Akademi Award in Creative Music, by the Sangeet Natak Akademi, India's National Academy of Music, Dance and Theatre.  He was awarded the third-highest civilian honour, Padma Bhushan by the Government of India for 2011.

Bataur Sangeetkar mera filmi safar 1948 ki film Heer Ranjha se hua. Uske baad se lagataar kaam karta hi gaya, kaafi filmon mein sangeet diya lekin kuchh khaas baat jami nahi, kuch ke toh naam shayad hi logon ko pata ho par maine apna kaam hamesha imandari se kiya .

Dheere dheere kuch aisi filmen bhi aayi jinse naam aur kamayabi haasil hui Jaise kabhi kabhi, Noori, Khandaan, Trishul lekin ek Asali aur mazboot Pehchan mili Umrao Jaan Se, Pfir toh log naam se janne lage tab se aaj tak sangeet ka safarnama badstur jari hai par jana mujhe aaj bhi Umrao ke sangeet ke liye jata hai.

 

About Rekha:-Jab bhi kahin bhi, kabhi bhi Umrao jaan ka naam aata hai toh zehan mein Sabse pehle jo khayal aata hai wo hai Rekha, jinhone apni shandaar adayagi se Umrao jaan ko ek alag mukam tak pahunchaya,  jis khubsurati aur nafasat se unhone wo kirdar jiya masha allah sadiyon tak log unhen yaad rakhenge,  Rekha Ek Azim Shakhsiyat hai aur bahut zaheen insan bhi hai, wo bahut hi pyar aur adab se pesh aati hai wo chahe jitni bhi umda film mein kaam kare par logon ke liye wo hamesha Umrao jaan hi rahengi.


About Our Organisation:- Rishabh, Amit Sharma ye jo aapki sanshta hai ye bahut hi achha kaam kar rahi hai.

Aapki Soch, aapka jazba, aap logon ki mehant ek din jarur rang layegi, aapko ek nayi Pehchan dilayegi, raste chahe jaise bhi mile chalte rahiye Ek na ek din manzil mil hi jayegi, meri Dua aapke saath hai.